Skip to main content

Posts

Showing posts with the label hindi poems

Jab se tune karli hai duri

Jab se tune karli hai duri, Zindagi hai tab se adhuri, Tune mujhko apna na mana, Hai kuch teri aisi majburi, Teri raza teri marzi, Meri toh hai bas yeh arzi, Tere liye jina ho mera, Paau tujhe ya na pau, Khona tujhe maina chahu, Hoke rahu mein toh bas tera,

Na jaane tum pe itna yakin kyon hai

Na jaane tum pe itna yakin kyon hai? Tera khayal bhi itna haseen kyon hai? Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai; to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai? Sabhi ko sabh kuch nahi milta, nadi ki har lehar ko sahil nahi milta, yeh dil walon ki dunia hai dost, kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta. Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne, afsos unhe hum par aitbar nahi, mat poocho kya gujarti hai dil par, jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi.. Hasta huya dekh kar log kehte hain ke hum gam se khali hain, par unhe kya pata ke jo gam ke baag hain, hum us baag ke mali hain.

Usne dard bhi mere hawale kar dia tha

usne dard bhi mere hawale kar dia tha, main roya to mere saath wo roya n tha, faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha, saamne baitha tha mere aur wo mera n tha.. aapne hamari ankhon me apka intzar na dekha, dil me chhupe pyar ko na dekha, chahte hain hum apko kitna ye intzar se nikle aasuon se puchh lena, fir bhi viswas na ho to humare dil par hath rakhna aur us dard ko mehsus kar lena…. Aaj unko maine KHAFA kar diya.. Aisa laga jaise khud se daga kar diya.. Unhe kaise manau sochte rahe din bhar.. Aaj aansuo ne bhi aane se mana kar diya.

Main Bohut Udase Hoon

Wo Kehte Hai K Ab B Mery Barey Main Sochte Ho Main Kehta Hoon Mujy Apne Sochon Per Ekhteyar He Kub Tha Wo Kehte Hai Kia Mery Bad Kisi Sey Muhabbat Hoye Tumhain Main Kehta Hon Muhabbat Duhraye Janey Wala Sabaq Nahi Hai Wo Kehte Hai Kia Mujy Bewafa K Naam Sey Yad Kerte Ho Main Kehta Hon Hamarey Dermeyan Wafauon Ka Taluq He Kub Tha Wo Kehte Hai Merey Ziker Per Ro Lete Ho Ge Main Kehta Hon Barshon Ka Mousam Guzer Chuka Hai Wo Kehte Hai Tumharey Lehjey Main Bohut Udase Hai Main Kehta Hon Bahar Per Khizan Ka Mousam Uter Chuka Hai Wo Kehte Hai Tumhare Aankhon Main Etne Gehraye Se Ku Hai Main Kehta Hon Sumander Ke Gehraeyan Door Sey Kub Nazer Aate Hain

Jaane Kyun Log Mohabbat Kiya Karte Hain

Is Zamane Me,Is Mohabbat Me Kitne Dil Toote,Kitne Ghar Phoonke Jaane Kyun Log Mohabbat Kiya Karte Hain.. Dil Ke Badle Dard-E-Dil Liya Karte Hain… Tanhaiye Milti Hai Mehfil Nahi Milti… Raah-E-Mohabbat Me Kabhi Manzil Nahi Milti.. Dil Toot Jaata Hain, Nakaam Hota Hai … Ulfat Me Yahi Logoun Ka Anjaam Hota hai… Koi Kya Jaane Kyun ye Parwane… Kyun Machalte Hain, Gham Me Jalte Hain… Aaahein Bhar Bhar Ke Deewane Jiya Karte Hain… Sawan Mein Aankhoun Ko Kitna Rulati Hain… Furqat Me Jab Dil Ko Kisi Ki Yaad Aati Hai… Yeh Zindagi Yunhi Barbaad Hoti Hai… Har Waqt Hontoun Par Koi Faryaad Hoti Hai… Naa Dawaoun Ka Naam Chalta Hai.. Naa Duaoun Se Kaam Chalta Hai… Zaher Yeh Phir Bhi Sabhi Kyun Piya Karte Hain… . Jaane kyun Log Mohabbat Kiya Karte Hain.. Mehboob Se Har Gham Mansoob Hota Hai… Din Raat Ulfat Me Tamasha Khoob Chalta Hai… Raatoun Se Bhi Lambe Yeh Pyaar Ke Qisse… Aashiq Sunate Hain Jafa-E-Yaar Ke Qisse… BeMurrawat Hai Woh… BeWafaa Hai Woh… Uss Sitamgar Ka Apne Dilbar Ka…. Naam Le Lekar Duhai ...

Hum chahkar bhi tumhe pa na sake

Hum chahkar bhi tumhe pa na sake Par tumne na chahkar bhi hume pa liya Hum na chahkar bhi tumhe bhulane ki koshish kar rahe hai Par tum chahkar bhi hume bhula na sake Hum chahkar bhi tumhe khushiya na de sake Par tum na chahkar bhi hume khushiya de gaye Hum chahkar bhi pyaar nibha na sake Par tum na chahkar bhi pyaar nibha gaye

Tumne jo meri kabr par aakar yun muskura diya

Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya…… main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein, yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya…… tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya….. pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya….. aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya…. ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya…. main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai, karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya…. tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya…..!!

Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko

manzilon pe aake lut-te hain dilon ke karvaan kashtiyan saahil pe aake dobti hain pyar ki Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye wo hi aa jaate hain yaad hamen rulane ke liye Judai ka pata hota agar pyaar se pehle, To maut ki duva mangte hum deedar se pehle. Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai

Hai Tumhara Intezaar Ab Aa Bhi Jao

Hai Tumhara Intezaar Ab Aa Bhi Jao, Aur Nahi Hota Intezaar Ab Aa Bhi Jao, Dekho Kitni Betaab Hai Dhadkan Dil Ki, Kar Rahi Hai Yeh Faryaad Ab Aa Bhi Jao, Udaas Hoon Mein Aur Mera Har Lamhaa, Hojae Har Lamhaa Khushgawaar Ab Aa Bhi Jao, Meri Nigaahein Tum Ko Hi Dhoond Rahi Hain, Aaye Inn Aankhon Ko Qaraar Ab Aa Bhi Jao...! Mujh Say Tu Bar Bar Yohn Mohabbat Ka Izhaar Na Kar Na Nibhaa Sakoonga Tera Saath Aaitbaar Na Kar Mohabbat To Hoti Thi Pehli Nazar Main Kon Hai Kahan Hai Woh Bas Yeh Takraar Na Kar Main Raha-E-Mohabbat Ka Hua Barsoon Say Musafir Wapsi Ka Nahin Hai Raasta Mera Intezaar Na Kar Bhala Pehli Mohabbat Ko Bhi Kis Nay Bhulaya hai Sach Hai Na Yeh Baat Meri Tu Inkaar Na Kar Kisi Ke Naam Hai Yeh Mukhtasir Si Zindagi Meri Meri khayalon Main Na Tu Ho Shamil Mujhay Beqarar Na Kar

Ek din main akela sonch raha tha kuchh

Ek din main akela sonch raha tha kuchh Puri duniya ghum rahi thi aankhon me mere, Kuchh to main dekh raha tha, kuchh to main sonch raha tha Achanak mujhko khayal aaya, kuchh mujhko yaad aaya Silsila shuru huwa mere hi ghar se logon Behan meri thi ghar pe aayi, aankhon me thi aansun laayi Wah sisakti ro rahi thi, aankhen kuchh bol rahi thin Ek shikayat thi aankhon me uske, shard lehar taari thi mujhpe Baap bechara chup baitha tha, suni aankhen thi uski Maa dilasa de rahi thi, par aankhen na kuchh bol rahi thi Uski majbur aankhen hume ghur rahi thi, wah kuchh dhund rahi thi Shayad pichle din yaad aa rahe the, jab hum sab mil kuchh ga rah the

Ishq main dil ka tamasha dekha nahi jata

Ishq main dil ka tamasha dekha nahi jata, Humse tuta hua shisha dekha nahi jata; Apne hisse ki kushiya bhi tujhe de doon, Tera utra hua chehra dekha nahi jata. इश्क में दिल का तमाशा देखा नहीं जाता। हमसे टुटा हुआ शीशा देखा नहीं जाता। अपने हिस्से की खुशिया भी तुझे दे दूं। तेरा उतरा हुआ चेहरा देखा नहीं जाता। Kistiya doob jate hai, Toofan chale jaate hain; Yaadein rah jati hai, insaan chale jate hai. किश्तिया डूब जाते है, तूफ़ान चले जाते है। यादे रह जाती है, इंसान चले जाते है। Kabhi kabhi in aankho mein nami si hoti hain, Kabhi kabhi is hoto pe hasi hasi si hoti hain; Aaye dost woh tum hi ho jisse meri zindagi, Zindagi si ho gayi hain. कभी कभी इन आँखों में नमी सी होती है। कभी कभी इन होठो पे हसी सी होती है। ए दोस्त वो तुम ही हो जिससे मेरी जिंदगी जिंदगी सी होती है। Vaadon ka matlab ekraar nahi hota, Khamoshi ka matlab inkaar nahi hota; Ek nazar milti hai hazaar nazaron se, Har nazaar ka matlab pyaar nahi hota. वादों का मतलब इकरार नहीं होता। ख़ामोशी का मतलब इनक...

Apne rishtey pe humein naaz hai

Apne rishtey pe humein naaz hai Kal jitna bharosa tha utna hi aaj hai Rishtey woh nahi jo sirf gum or khushi Me saath de Rishta who hota hai jo apnepan ka Ahsaas de Aksar jab hum aapko yaad karte hain Apne rab se yahi faryaad karte hain Umar hamari bhi lag jaye aapko Kyunki hum aapko khudse bhi Zyada pyaar karte hain Nadiyon se kinare toot sakte hain Aasman se tare toot sakte hain Magar is baat ki kabhi ummed mat karna Ki hum aapko yaad kana bhul sakte hain Khamosh palkon se bahkar jab aansu aate hain Aap kya jano aap kitne yaad aate hain Aaj bhi hum us mod par khade hain Jahan aap ne kaha tha thairo hum Abhi aate hain

Kabar ki mitti utha ke le gaya koi

Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin Phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi.. Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, vaada kiya sitaron ne saath dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda. Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain. Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin, bhool aaye hum apni takdeeren kahin. Agar mile tumko kahin to utha lena, mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena. Bolti hai dosti, chup rehta hai pyar. Hasati hai dosti, rulata hai pyar. Milati hai dosti, juda karta hai pyar. Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar??

Muhabbat Dhund Main Lipti Hui Wadi Ka Mausam Hai

Muhabbat Dhund Main Lipti Hui Wadi Ka Mausam Hai Chamakti Hai To Suraj Hai Barasti Hai To Rimjhim Hai Muhabbat Naam Hai Kitne Musalsal Imtehanon Ka Muhabbat Kar Nahin Sakta Ke Jis Main Hosla Kam Hai Muhabbat Karne Walon Ko Sada Muskaan Milti Hai Muhabbat Karne Walon Ki Zara Si Aankh Bhi Num Hai Muhabbat Zindagi Main Zindagi Ka Eik Naghma Hai Magar Yeh Maut Ki Dehleez Par Sadiyon Ka Matam Hai Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain dard lamhay tu meri jaan main utar jate hain main wafaon ki hatheli pe likhi tehreerain parhna chahon tu sabhi hurf mukar jate hain dil ko hairat hai ke chup chaap guzarte lamhay kis tarah aankh ki putli main thehar jate hain umar sehra main katay ya gham-e-tanhai main akhrish waqt tu saaray hi guzar jate hain ab tau ye hai ke teri yaad main bheegay manzar chaltay chaltay mere hathon se bikhar jate hain