Muhabbat Dhund Main Lipti Hui Wadi Ka Mausam Hai
Chamakti Hai To Suraj Hai Barasti Hai To Rimjhim Hai
Muhabbat Naam Hai Kitne Musalsal Imtehanon Ka
Muhabbat Kar Nahin Sakta Ke Jis Main Hosla Kam Hai
Muhabbat Karne Walon Ko Sada Muskaan Milti Hai
Muhabbat Karne Walon Ki Zara Si Aankh Bhi Num Hai
Muhabbat Zindagi Main Zindagi Ka Eik Naghma Hai
Magar Yeh Maut Ki Dehleez Par Sadiyon Ka Matam Hai
Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain
dard lamhay tu meri jaan main utar jate hain
main wafaon ki hatheli pe likhi tehreerain
parhna chahon tu sabhi hurf mukar jate hain
dil ko hairat hai ke chup chaap guzarte lamhay
kis tarah aankh ki putli main thehar jate hain
umar sehra main katay ya gham-e-tanhai main
akhrish waqt tu saaray hi guzar jate hain
ab tau ye hai ke teri yaad main bheegay manzar
chaltay chaltay mere hathon se bikhar jate hain

Comments
Post a Comment