Wo kahkar chale gaye itni mulaqat kafi hai,
humne kaha ruk jaao abhi raat baki hai.
aansu mere tham jayen to shauk se jana,
aise mein kahan jaaoge abhi is dil mein barsaat kaafi hai.
Kaash ek kadam hum bhi unke saath chal paate,
Kaash unke khwabo mai hum bhi bas jaate,
Jo chale gaye hamare sapne todke,
Kaash unke sapno ko hum zindagi de paate..
bewafa keh kar bulaya to bura maan gaye .........
jab aaina(sheesha) samne aaya to bura maan gaye..........
unki har raat guzarti hai diwali ki tarah ..........
jab humne ne ek deep jalaya to bura maan gaye.
Pal hi aisa tha ke hum inkaar na kar paye..
zamaane ke dar se hum ikraar na kar paye..
na thi jinke bina mumkin zindagi humari..
door ho gaye humse wo aur hum sawaal na kar paye..
Comments
Post a Comment