Skip to main content

koi bijli giri aasmaan se

koi bijli giri aasmaan se
dhuwan sa uth raha hai aashiyan se

mujhe karte ho kyun majboor itna
nikal jaaye na kuchh meri zuban se

kabhi to yeh zameen-e-dil bhi meheke
kabhi to abr barase asmaan se

fareb usne diya mujhko hamesha
magar nikla nahi dil ke makaan se

kabhi jhadte the muh se phool par ab
tapkta zehar hai unki zuban se

kare jo mundamil zakhmon ko mere
maseeha main ab woh laaun kahan se

badal jaate hai rishte waqt ke saath
kahan tak aa gaye hum-tum kahan se.

Comments

Popular posts from this blog

KABIRDAS ka DOHA

UNCHI GA*D ZIRAF KI.. DEKH KABIRA ROYE. VO GA*D KIS KAM KI . JISE MAR SKE NA KOY ऊँची गां*ड जिराफ की। देख कबीरा रोये। वो गां*ड किस काम की। जिसे मार सके न कोय।

Bajaye pyaar ki shabnam

Bajaye pyaar ki shabnam Meray gulistan mein Baraste rehte hai har simt maut ke saaye Siyahiyon se ulajh parhti hain meri aankhen Koi nahein.koi bhi nahein jo bataye Kitni dair ujaalon ki raatein Koi nahein, hai koi bhi nahein Na paas, Na durr Yeh pyar hai.dil ki dhadkan Apni chahat ka jo elaan kiye jati hai Zindagi hai jo jiye jati hai Khoon ke ghont piye jati hai Khwaab kanton se siye jaati hai Ai Khuda aaj is kashti ko paar tu hi lagai ga Ki hain jo khata hum nay un ko tu hi bhulai ga Hum jo teray banday hain teri hi takhleeq hain Apni is takhleeq ko Khaliq kaisay mitai ga Raaz meray sab janta hai tou hi to Poshida in batoon ko sab ko kyun bataye ga Teri is makhlooq par jab bhi para hai mushkil waqt Toofaan ho ya aandhi ho hum ko tu hi bachaye ga Ai Khuda aaj is kashti ko paar tu hi lagai ga Ki hain jo khata hum nay un ko tu hi bhulai ga

Nigahein Milakar kiya dil ko Zakhmi

Nigahein Milakar kiya dil ko Zakhmi! Adayein dikhakar sitam dha rahe ho!! wafaon ka kya khoob badla diya hai! tadapta hua chhodkar ...ja rahe ho!!! Meri Zindgi ka sahara nahi hai, Is jaha main koi hamara nahi hai, Chhuaa unka daaman to wo haskar bole, Dost ye daaman tumhara nahi hai... Humne unse apne dil ka haal izhaar kar diya Aur unhone use hamare dil ka vehem karar kar diya Ab isse jyada kya samjhaye koi unhe Jab humne aapna dil he unke naam kar diya... bhule ho tum kuch is tarah hame ki tume samajana bhi mushkil ho gaya he kya pata koi khata ho gai hamse ya koi aur tumhare jyada karib ho gaya hai