Skip to main content

Posts

Mujko tu apna bana ya na bana, yeh teri khushi

Jo chehre kabhi dikhte nahi the muhalle mai Bhukamp ne sabka deedar kara diya Na namaz dikhi na azaan dikhi Na hindu dikha na musalmaan dikha Ghar se bhagta hua bus insaan dikha Mohabbat na sahi mukadmaa he kar do muj par Tareek dar taareek tera deedar toh hoga Mujko tu apna bana ya na bana, yeh teri khushi Tu zamaane mai mere naam se badnaam toh hai

Usne pucha sabse jyada kya pasand hai tumhe

Girne he the jo aapko toh sau makaam the Yeh kya kiya.. jo nighao se gir gaye Kadr karlo unki jo tumse bina matlab ki chahat rakhte hai Duniya mai khayal rakhne wale kum aur takleef dene wale jyada hai Usne pucha sabse jyada kya pasand hai tumhe Mai bahut der tak dekhta raha usse yeh sochkar ki Khud jawaab hokar usne sawaal kyu kiya

Thodi muskorahat, uddar de de muje ae zindagi

Bachpan mai jab chaha tab hus lete the Jaha chaha roo sakte the Ab muskaan ko tameez chaiye Aur ashko ko tanhai Thodi muskorahat, uddar de de muje ae zindagi Kuch apne aa rahe hai milne ki rasm adaa karni hai Parwaaah kar uski jo teri parwaah kare Zindagi mai jo na kabhi tanhaa kare Tum ban kar utar jaana uski rooh mai Jo jaan se bhi jyaada tum se wafaa kare

Waqt noor ko benoor kar deta hai

Jo mil gaya ussi mai khush reh Jo sukoon cheen le, usse paane ki koshish na kar Raaste ki sundarta ka luft utha Manzil par jaldi pahuchne ki koshish na kar Waqt noor ko benoor kar deta hai Those se zakm ko naasoor kar deta hai Koi chahta hai apno se dur hona, par waqt sabko majboor kar deta hai

Humne na sikha fareb dil bachaa reh gaya

Zindagi kaa raaz maine mohabbat mai paa liya Jiska bhi ghum mila apna banaa liya Sunna ne ko mila na koi dastaane e gum Toh aaina samne rakh khud ko suna diya Bikne wale aur bhi hai jao jaake kharid lo Hum keemat se nahi kismat se mila karte hai Zindagi ki daud mai tajurbaa kacha reh gaya Humne na sikha fareb dil bachaa reh gaya

Aarzoo honi chaiye kisi ko yaad karne ki

Aarzoo honi chaiye kisi ko yaad karne ki Lamhe toh apne aap he mil jaate hai Iss duniya mai koi kisika humdard nahi hota Laash ko shamshaan mai rakhkar apne log he puchte hai Aur kitna waqt lagega Jiske paas sirf sikke the wo majje se bhigte rahe baarish mai Jinke jeb note the wo chat talaashte reh gaye